Aaj Ravan Ko Bachane Khud Ram Aaya Hai | Dussehra Special Poem
Namaste/Hello doston! Har saal Dussehra par lakho log Ravan dahan dekhne ikatthha hote hain, par kya sach mein Ravan ka putla jala kar humne Bhagwan Shree Ram ko paa liya? Kya humne sach mein unke aadarshon aur maryada ko apne jeevan mein utara hai, ya yeh sab bas har saal karne wala dikhava aur prapanch bankar reh gaya hai? Kyunki jo sach mein Bhagwan ko maanta hai, jo sach mein Shree Ram ji ko dil se maanta hai—woh chah kar bhi kisi ke saath kabhi bura ya anyay nahi kar sakta. Hairani ki baat toh yeh hai ki jis samaj mein aurat ko 'Devi' ka darja diya gaya hai, usi samaj mein sabse zyada durgati, apmaan aur dard bhi usi aurat ko jhelna padta hai. Aaj Dussehra par bheed mein lage 'Jai Shree Ram' ke naaron ke peeche samaj ke dohre charitra ko aaina dikhati meri yeh kavita... Ravan ko jalane ke liye bheed jama hai, Seeta maa ke insaaf ke liye aaj bhi har koi khada hai... Ram ji bhi aaj khud dekhne aaye hain lakhon karodon ki bheed ko, Jinme unko ab tak koi sahi insaan ...